
Best 20+ love shayari in english | Shayari in roman english
love shayari in english
Welcome to our collection of love shayari in English, where we have curated some of the most beautiful and heartfelt expressions of love in the form of shayari. Our collection also includes shayari in Roman English, making it easier for those who are not well-versed in the Devanagari script to enjoy and appreciate the beauty of shayari. If you are feeling sad or want to express your attitude, we also have a selection of sad shayari and attitude shayari in English that you can relate to and find solace in. So, whether you are looking for romantic shayari or something more intense, our collection has something for everyone. Browse through our selection and let the power of shayari sweep you off your feet.
Alam
Alam hi vo kya jis main tum na ho,
Vo ishak hi kya jismain gam na ho,
Vo khawab hi kya jismain tera khayal na ho,
Ye dil hi kya jiski dharkan ki tum hakdar na ho,
Vo kaifiyat v kya jismain tumhari muhhabat na ho..!

Tasabur
Rat bhar jagte rhe ham, tere tasabur k sath,
Aisi dil lagi ki dil ne hamare sath,
Kuch khi unkahi batain yad ayi,
Mujhe tere chehre ki vo hasi yad ayi,
Main chalta rha tere khayalon k sath,
Khayal hi kha rha fir din ho ya raat,
Rat bhar jagte rhe ham, tere tasabur k sath..!

Kaid-ey-ishq
Kya batayain ab kaid-e-ishaq main koi rihayi nhi hai,
Khali khali se is dil ki kahin sunvayi nhi hai,
Tujhe pane ka khayal dil se nhi jata,
Tujse mile vger ise karar nhi ata,
Guzar rha tanha safar pe, abhi tak to ispe tumhari koi inayat nhi hai,
Kya batayain ab kaid-e-ishaq main koi rihayi nhi hai,
Khali khali se is dil ki khi sunvayi nhi hai..!

Talash
Main manjil ki talash main jab teri aur rehne chala,
Pta chala ki tumhare shehar main bhi jane pehchane ajnabi ho jaya krte hain..!

jaam
Rat bhar maikhane sharab pita rha,
Pta chala tumhari ankhon se nasheela ye jaam v nhi..!

berukhi
Tumhari berukhi main v hme pyar njar aa jata hai,
Ye muhabat tumhari har hal main humpe bhari padhti hai..!

Mohabat
Mohabat hona na hona ye alag bat hai,
Par teri chaahat ne hame apne dil se mila diya..!

alam-ey-tanhayi
Rat bhar ham jaga karte hain isi alam-ey-tanhayi main,
Yehi soch kar ke kabhi tumahri hajure saltnat hamari sunvayi jrur hogi..!

Ishq
Suna tha hamne ye ishq aag ka darya hai,
Lakin jab ismain doobne lage to tairne ka bhi man na kiya..!

Dhadkan
Aj fir se wohi uski awaaj ko sun lia maine,
jisko sun lun to meri dhadkane bhar jaya krti hain..!

Shararat
Bri bekarari rehti hai is dil main,
Ho na ho ye teri aankhon ki hi shararat rehti hai..!

Hal-ey-dil
Hal-ey-dil aj fir unko sunaya,
Farmane ishak ab jo v ho hme manjoor hoga..!

ishak
Dil main utha ye kaisa tufan hai,
Tere bin jina ab mera haram hai,
Tu hi mera ishak tu hi meri jan hai..!
Khuaab
Ek hi khuaab dekhte hein,
Usi khuaab mein ham sirf Tumhein dekhte heini..!
Kaifiyat
Dil ka maraj ilaaj-e-ulfat dundta hai,
Dharkano ki kaifiyat bhi dillagi mein uska chehra dundti hai..!
Saazish
i Lamhon ki saazish rahi hai,
Jab tak hamara dil izzazat na de
Tum hamare dil mein rehna kahin jana nhin..!
Kaatil
Wo kaatil nazren aaj bhi muskurati hein,
Mujhe katal karne se pehle..!
Ulfat
Hamse jinke bin raha nahin jata,
unko hamari chaahat pe aitbaar hin aata,
ulfat main unhin ki kat te hain mere raat din,
kehne to chahte hain par unse kaha bhi nhi jaata..!
Bebsi Ka Aalam
REHTA HAI HAR WAQT BEBSI KA AALAM,
KOI SADAA ROZ DIL SE AATI HAI,
AATA HAI JAB BHI TERA JIKAR,
AANKHEN NAM HO JAATI HAIN...!
Hasratain
Jab ji chahe hasraton ko thikana mil jaye,
Mujhe tu mile to zindagi mil jaye,
Ankhon ke aage ho tera hi chehra,
Ji bhar k dekh lun lamhon ki mohalat mil jaye,
Wafa ki raah par chalt rhenge tamam umar,
Gar tumhare jaisa is raah pe koi hamsafar mil jaye,
Bhatak rha ye mera dil yunhi dar badar,
Is bhi ab koi thikana mil jaye,
Muskurane ke liye koi wjeh dundani jruri hai,
Tum jo aao zindagi ki har khushi mil jaye..!
[…] ALSO READ:- Love shayari in english […]